ehsas-e-zimmedari bedar ho raha hai
har shaKHs apne qad ka minar ho raha hai
aawaz-e-haq kahin ab ru-posh ho na jae
harf-e-ghalat barhana talwar ho raha hai
kis naqsh ki jila hai anfas-e-kahkashan mein
wo kaun saya-saya diwar ho raha hai
minnat-gah-e-siyahi ailan-e-KHair-KHwahi
kam-zarf walwalon ka izhaar ho raha hai
hairat-zada hai 'rahi' dariya se ehtijajan
masum qatra-qatra ghaddar ho raha hai
Ghazal
Ehsas-e-zimmedari bedar ho raha hai
Rahi Fidai