ehsas-e-ashiqi ne begana kar diya hai
yun bhi kisi ne aksar diwana kar diya hai
ab kya ummid rakkhun ai husn-e-yar tujh se
tu ne to muskura kar diwana kar diya hai
tujh se KHuda hi samjhe tu ne kisi ko ai dil
mujh se bhi kuchh ziyaada diwana kar diya hai
phir us ke dekhne ko aankhen taras rahi hain
yaadash ba-KHair jis ne diwana kar diya hai
mujh ko junun se apne shikwa jo hai to ye hai
meri mohabbaton ko afsana kar diya hai
ai husn-e-roz afzun umrat daraaz baad
donon jahan se mujh ko begana kar diya hai
jab dil mein aa gaya hai ek jumbish-e-nazar ne
diwana kah diya diwana kar diya hai
mujh se hi puchhte hain ye shoKHiyan to dekho
mere 'jigar' ko kis ne diwana kar diya hai
Ghazal
Ehsas-e-ashiqi ne begana kar diya hai
Jigar Moradabadi