dur tak ek syahi ka bhanwar aaega
KHud mein utroge to aisa bhi safar aaega
aankh jo dekhegi dil us ko nahin manega
dil jo dekhega wo aaankhon mein ubhar aaega
apne ehsas ka manzar hi badal jaega
aankh jhapkegi to kuchh aur nazar aaega
aur chalna hai to be-KHauf-o-KHatar niklo bhi
na kisi abr ka saya na shajar aaega
KHatm ho jaegi jab jashn-e-mulaqat ki raat
yaad bujhte hue KHwabon ka nagar aaega
Ghazal
Dur tak ek syahi ka bhanwar aaega
Khaleel Tanveer