dur sahra ki kaDi dhup mein chhanw jaisa
wo to lagta tha mujhe meri duaon jaisa
ek riyasat thi mere pas nawabon jaisi
ab tere shahr mein phirta hun gadaon jaisa
ab use DhunDhta phirta hun bayabanon mein
jo mere pas se guzra tha hawaon jaisa
tu na tha pas to ruThi thin bahaaren mujh se
jaise mausam ho mere sath KHizaon jaisa
ruKH-e-raushan se nikalti thin shuaen 'owais'
us ki zulfon mein nazara tha ghaTaon jaisa

Ghazal
Dur sahra ki kaDi dhup mein chhanw jaisa
Owaisul Hassan Khan