dur dur sahra hai
aur dil akela hai
lafz lafz patthar hain
zaKHm zaKHm rasta hai
koh-e-jaan uThae hun
bojh mera apna hai
zard zard hain kaliyan
aur bagh mahka hai
din ko mat kaho qisse
koi rah bhula hai
main ki ishq-e-pechan hun
tu shikasta chhajja hai
kyun KHamosh hai sabza
zahr pi ke soya hai
madrase ki inTon par
sab kuchh ab bhi likkha hai

Ghazal
Dur dur sahra hai
Ishrat Afreen