dur bhi jate hue pas bhi aate hue hum 
bhulte bhulte kuchh yaad dilate hue hum 
nind ka is ko nasha hum ko jagane ki hawas 
KHwab mein aate hue nind churaate hue hum 
pahle rote hue apni hi nigahbani mein 
aur be-saKHta phir KHud ko hansate hue hum 
pichhli shab ponchhte aankhon se purane sabhi KHwab 
agli shab KHwabon ka ambar lagate hue hum 
chaaragar bante hue apni hi virani mein 
pahli barish mein akele hi nahate hue hum 
KHun armanon ka karte hue KHamoshi se 
aur phir KHun ko aankhon mein chhupate hue hum 
apni jholi mein kisi jit ka nashsha sa liye 
us ke kuche se 'ziya' haar ke jate hue hain hum
        Ghazal
Dur bhi jate hue pas bhi aate hue hum
Zia Zameer

