dushman ki malamat bala hai
ye mom ka sanp kaTta hai
waswas-e-hisab-e-hashr kya hai
gumnamon ko kaun puchhta hai
aalam mushtaq did ka hai
wo but na dikhae munh KHuda hai
wo sim-badan magar KHafa hai
sona jo haram ho gaya hai
sar-ta-pa hun ba-rang-e-taswir
kya zoaf ka rang jam gaya hai
qashqa khincha hai abruon mein
do nimche ek par tula hai
mahfuz uftadgi ne rakkha
tawiz mein naqsh-e-boriya hai
gardish se mili mujhe saadat
har aabla baiza-e-huma hai
jhaDte hain phul munh se ai gul
baaton ka jhaD motiya hai
Ghazal
Dushman ki malamat bala hai
Muneer Shikohabadi