dushman ki baat jab teri mahfil mein rah gai
ummid yas ban ke mere dil mein rah gai
tu hum se chhap gaya to teri shakl-e-dil-fareb
taswir ban ke aaina-e-dil mein rah gai
nikla wahan se main to mere dil ki aarzu
sar piTti hui teri mahfil mein rah gai
dekha jo qatl-e-am to har lash par ajal
ek aah bhar ke kucha-e-qatil mein rah gai
main kya kahun 'rasa' ki mere dil pe kya bani
talwar khich ke jab kaf-e-qatil mein rah gai

Ghazal
Dushman ki baat jab teri mahfil mein rah gai
Rasa Rampuri