dushman-e-jaan hai tishna-e-KHun hai
shoKH hai bank hai nikat bhun hai
tujh kun laila bhi dekh majnun hai
dil-rubaon ka dil-ruba tun hai
dil ke chhilne kun ye laTak chalna
sehr hai ToTka hai afsun hai
KHal-e-mushkin hai lal lab-ha par
ya mai-e-surKH bich afyun hai
aan hai dard ke zaifan par
aah dil ki alif hai qad nun hai
darguzar kar raqib sin ai dil
be-haya hai rijala hai dun hai
dard-e-sar ka ilaj kyun na kare
yar ka rang sandali-gun hai
shaiKH KHirqe mein jab muraqib ho
gurba miskin hai meri jun hai
gar wafadar-kush nahin wo shoKH
'abru' sath dushmani kyun hai
Ghazal
Dushman-e-jaan hai tishna-e-KHun hai
Abroo Shah Mubarak