dushman bhi apne dost se yarab juda na ho
na aashna ko bhi alam-e-ashna na ho
sad-chaak ho wo dil ki jo dard-ashna na ho
phuTe wo aankh jis se ki aansu gira na ho
wo said hun ki par bhi hon aur uD saka na ho
yarab mujhe kahin par-e-mahi mila na ho
baad-az-fana zamin se na uTha mera ghubar
aisa koi kisi ki nazar se gira na ho
karti hai ab talak jo lagawaT tumhaari tegh
tasma koi gale mein laga rah gaya na ho
mar kar bhi us gali mein na hum pahunchen ya nasib
KHak apni jab uDe to udhar ki hawa na ho
be-yar zauq kab hai sharab-o-kabab se
parwa nahin hai ab mujhe saqi ho ya na ho
KHun-e-jigar piya na ho jis ne wo mai piye
khae wahi kabab ki jo dil-jala na ho
hum KHak mein mile to mile gham magar ye hai
dil mein tere ghubar kahin aa gaya na ho
ruswai ka bhi chahiye wahshat mein kuchh KHayal
daman jo chaak ho to gareban phaTa na ho
be-jurm-o-be-gunah na aashiq ko qatl kar
kaba teri gali hi kahin karbala na ho
khinchi thi tegh par na nazakat se khinch saki
qatil ka kya qusur jo meri qaza na ho
marham jo sabz tum ne lagaya to faeda
be-ab-e-tegh zaKHm hamara hara na ho
bang-e-dara to hoti nahin aisi dil-KHarash
hamrah-e-qafila dil-e-nalan mera na ho
jo ho saken wo mujh se karo be-wafaiyan
ta phir kisi ko tum se ummid-e-wafa na ho
juz kahruba uThai kisi ne na meri lash
kahida is qadar koi yarab hua na ho
hasrat se kyun taDapte hain sayyaad asir-e-dam
hathon mein tere tair-e-rang-e-hina na ho
kha kha ke pan pik jo phenki mazar par
us ke shahid-e-lab ka yahi KHun-baha na ho
is darja kyun hai charKH-e-jafa-ju ko iztirab
dil ko mere qarar kahin aa gaya na ho
KHamosh apne dar pe mujhe dekh kar wo shoKH
kahta hai ye faqir kahin be-nawa na ho
hai darmiyan mein tafraqa-parwaz-guftugu
KHamosh ho to lab se kabhi lab juda na ho
bahr-e-jawab KHat mein jagah chhoD di thi kuchh
qasid ne us pe KHatt-e-ghulami likha na ho
phir ruh ko hai jism mein aane ka ishtiyaq
us ne mere janaze ko kandha diya na ho
bechain ho na jaen sab aasudgan-e-KHak
wo chaal chal ki jis se qayamat bapa na ho
tu mujh siyah-baKHt ki jaanib nigah kar
dekhun to kyunkar aankh teri surma-sa na ho
tarik ho gaya hai nazar mein jahan 'wazir'
aankhon mein us ki ghair ne surma diya na ho
Ghazal
Dushman bhi apne dost se yarab juda na ho
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi