durd pi lete hain aur dagh pacha jate hain
yan bala-nosh hain jo aae chaDha jate hain
dekh kar tum ko kahin dur gae hum lekin
Tuk Thahar jao to phir aap mein aa jate hain
jab talak panw mein chalne ki hai taqat baqi
haal-e-dil aa ke kabhu tujh ko dikha jate hain
ishq ka kyunki butan se kare iKHfa koi
Dhab se nazron mein ye kafir wahin pa jate hain
tarah sozan ki jo hain rishta-e-ulfat mein phanse
jis taraf sair karen ru-ba-qaza jate hain
kaun ho ghuncha-sifat apne saba ka marhun
jaise tang aae the waise hi KHafa jate hain
rahiyo hushiyar tu lap-jhap se butan ki 'qaem'
baat ki baat mein wan dil ko uDa jate hain
Ghazal
Durd pi lete hain aur dagh pacha jate hain
Qayem Chandpuri