duniya se tan ko Dhanp qayamat se jaan ko
do chadaren bahut hain teri aan-ban ko
ek main hi rah gaya hun kiye sar ko bar-e-dosh
kya puchhte ho bhai mere KHandan ko
jis din se apne chaak-e-gareban ka shor hai
tale laga gae hain rafugar dukan ko
filhaal dil pe dil to liye ja rahe ho tum
aur jo hisab bhul gaya kal-kalan ko
dil mein se chun ke hum bhi koi ghuncha ai nasim
bhejenge tere hath kabhi gulsitan ko
mashghul hain safai-o-tausi-e-dil mein hum
tangi na is makan mein ho mehman ko
Ghazal
Duniya se tan ko Dhanp qayamat se jaan ko
Ahmad Javed