اردو हिंदी
Duniya se duniya mein rah kar kaise kinara kar rakkha hai | Shaahi Shayari
duniya se duniya mein rah kar kaise kinara kar rakkha hai

Ghazal

Duniya se duniya mein rah kar kaise kinara kar rakkha hai

Shoaib Nizam

;

duniya se duniya mein rah kar kaise kinara kar rakkha hai
dekh to aa kar kis surat se hum ne guzara kar rakkha hai

pahle to hum duniya samjhe lekin ab ehsas hua hai
josh-e-junun mein hum ne KHud ko para para kar rakkha hai

itna nur kahan se laun tariki ke is jangal mein
do jugnu hi pas the apne jin ko sitara kar rakkha hai

dekh sako to dekh lo aa kar mera kamal-e-aKHir bhi tum
shab ke rang se milti lau ko kaise sharara kar rakkha hai

itne shoKH kahan hote the mujh ko to yun lagta hai
rangon ko chupke se us ne koi ishaara kar rakkha hai