duniya se dagh-e-zulf-e-siyah-fam le gaya
main gor mein charagh-e-sar-e-sham le gaya
ki tark main ne shaiKH o barahman ki pairwi
dair-o-haram mein mujh ko tera nam le gaya
dozaKH mein jal gaya kabhi jannat mein KHush raha
mar kar bhi sath gardish-e-ayyam le gaya
main justuju-e-kufr mein pahuncha KHuda ke pas
kaba tak in buton ka mujhe nam le gaya
pahna kafan to kucha-e-qatil mein pai rah
kaba mein mujh ko jama-e-ehram le gaya
nafrat hui do-rangi-e-lail-o-nahaar se
main subh o sham us ko lab-e-baam le gaya
kuchh lutf ishq ka na mila jite-ji 'munir'
nahaq ka ranj muft ka ilzam le gaya
Ghazal
Duniya se dagh-e-zulf-e-siyah-fam le gaya
Muneer Shikohabadi