duniya mein qasr-o-aiwan be-faeda banaya
uqba inhen banai munim to kya banaya
jo unsuri gharaunda pe chaukhaTa banaya
ek dam mein wo bashar ka bigDa bana banaya
zulfon mein tair-e-jaan jis ne phansa banaya
tan ko qafas ragon ko ek jal sa banaya
soz-e-gham-o-alam se bah jaun shamma-san jo
ai shoala-ru mujhe bhi kya mom ka banaya
naqshe pe khinch saka jab mani se dil-jalon ka
jis ja makan-e-dil tha aatish-kada banaya
bahr-e-jahan mein jis dam pahunchi numud-e-insan
pani ne sar uTha ke ek bulbula banaya
pahna kafan utara hasti ke pairahan ko
phenka libas-e-kohna jama naya banaya
KHaliq ne jab kaha KHalq abru ke bismilon ka
gardan meri banai KHanjar tera banaya
chal kar saba ki surat KHandan kiya gulon ko
ghunchon ka munh bigaDa jab munh zara banaya
shishagari pe nazan be-kar shisha-gar hain
koi bhi dil kisi ka TuTa hua banaya
aahon ke kudkon ne chhalni kiya yahan tak
saqf-e-falak ko chhatta zambur ka banaya
shan-e-KHuda ayan hai har but se mai-kade mein
kabe mein tum ne ja kar ai 'shad' kya banaya
Ghazal
Duniya mein qasr-o-aiwan be-faeda banaya
Shad Lakhnavi