اردو हिंदी
Duniya ko jab nazdiki se dekha hai | Shaahi Shayari
duniya ko jab nazdiki se dekha hai

Ghazal

Duniya ko jab nazdiki se dekha hai

Amit Sharma Meet

;

duniya ko jab nazdiki se dekha hai
tab samjha ye sab kuchh khel-tamasha hai

hathon ki do-chaar lakiren paDh kar ke
wo kahta hai aage sab kuchh achchha hai

us se pahli bar mila par hairan hun
dil mein tab se ghar kar ke wo baiTha hai

kaghaz par dil ki taswir bana kar ke
us ne puchha ye kis shai ka naqsha hai

soch raha hun main us ka sauda kar dun
us ki yaadon ka jo dil mein malba hai

donon pahlu mein hi haar chhipi is mein
mere hathon mein ab ye jo sikka hai

is KHatir main rose mashaqqat karta hun
aasani se kya hasil ho pata hai

jab qudrat ne thoDa aaj nawaza to
sare mujh se puchhe hain tu kaisa hai

'mit' yahan apne to nam ke apne hain
an-jaanon se rishta dil ka gahra hai