duniya ka na uqba ka koi gham nahin sahte
jo aap ke ho jate hain apne nahin rahte
ro le abhi kuchh aur ghanimat hai ye rona
ban jate hain wo zahr jo aansu nahin bahte
ab koi nai chaal chal ai gardish-e-duniya
hum rose ke fitne ko qayamat nahin kahte
sab puchho guzarti hai jo hum par wo na puchho
dil rota hai aur aankh se aansu nahin bahte
aag aur dhuan aur hawas aur hai ishq aur
har hausla-e-dil ko mohabbat nahin kahte
is daur mein karwaT na badal jazba-e-ehsas
hain chain se jo hosh mein apne nahin rahte
hairan hain ab jaen kahan DhunDne tum ko
aaina-e-idrak mein bhi tum nahin rahte
didar ke talib to 'siraj' ab bhi hain lekin
jalna to baDa kaam hai aanch ek nahin sahte
Ghazal
Duniya ka na uqba ka koi gham nahin sahte
Siraj Lakhnavi