اردو हिंदी
Duniya-dari se na-waqif kaisa pagal laDka tha | Shaahi Shayari
duniya-dari se na-waqif kaisa pagal laDka tha

Ghazal

Duniya-dari se na-waqif kaisa pagal laDka tha

Razzaq Arshad

;

duniya-dari se na-waqif kaisa pagal laDka tha
jab rone ka mauqa hota tab bhi hansta rahta tha

hum se kaisi bhul hui thi hum ne kya kya socha tha
bilkul mom sa pighla wo to jo kundan sa lagta tha

shak ke sae phail rahe hain basti wale hairan hain
us ne dariya par kiya hai to kya maTka pakka tha

zehn mein dhundla dhundla sa ek naqsh ubharta jata hai
hum tum ko pahchan rahe hain hum ne tum ko dekha tha

pahle kuchh socha hi nahin tha lekin ab is soch mein hain
mil kar bhi kya paya tum se milte nahin to achchha tha

wo jo ek ummid thi tum se KHair use ab chhoDo tum
tum par kya ilzam dharen hum yun bhi ye to hona tha