duniya bhi pesh aai bahut be-ruKHi ke sath
hum ne bhi zaKHm khae baDi sadgi ke sath
ek musht-e-KHak aag ka dariya lahu ki lahr
kya kya riwayaten hain yahan aadmi ke sath
apnon ki chahaton ne bhi kya kya diye fareb
rote rahe lipaT ke har ek ajnabi ke sath
jangal ki dhup chhanw hi jangal ka husn hai
sayon ko bhi qubul karo raushni ke sath
tum raste ki gard na ho jao to kaho
do-chaar gam chal ke to dekho kisi ke sath
koi dhuan uTha na koi raushni hui
jalti rahi hayat baDi KHamushi ke sath
Ghazal
Duniya bhi pesh aai bahut be-ruKHi ke sath
Akhtar Imam Rizvi