dukh se ghairon ke pighalta kaun hai
KHud se bahar ab nikalta kaun hai
barf si tasir sab ki ho gai
zulm sah kar ab ubalta kaun hai
ghair ko hi sab badalne mein rahe
apni fitrat ko badalta kaun hai
chhoD do us ko usi ke haal par
ishq mein paD kar sambhalta kaun hai
zindagi bhar jo na khae Thokaren
khol kar aankhen yun chalta kaun hai
dur mujh se ho gaya bachpan magar
mujh mein bachche sa machalta kaun hai
KHwahishon par qaid 'kalkal' kyun lage
umr ke sanche mein Dhalta kaun hai

Ghazal
Dukh se ghairon ke pighalta kaun hai
Rajendra Kalkal