dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki
aur daman-e-qatil ki hawa aur tarah ki
diwar pe likkhi hui tahrir hai kuchh aur
deti hai KHabar KHalq-e-KHuda aur tarah ki
kis dam uThaenge KHaridar ki is bar
bazar mein hai jins-e-wafa aur tarah ki
bas aur koi din ki zara waqt Thahar jae
sahraon se aaegi sada aur tarah ki
hum ku-e-malamat se nikal aae to hum ko
ras aai na phir aab-o-hawa aur tarah ki
Ghazal
Dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki
Iftikhar Arif