Duboe deta hai KHud-agahi ka bar mujhe
main Dhalta nashsha hun mauj-e-tarab ubhaar mujhe
ai ruh-e-asr mein tera hun tera hissa hun
KHud apna KHwab samajh kar zara sanwar mujhe
bikhar ke sab mein abas intizar hai apna
jala ke KHak kar ai sham-e-intizar mujhe
sada-e-rafta sahi lauT kar main aaunga
faraaz-e-KHwab se ai zindagi pukar mujhe
azab ye hai ki mujhe jaise phul aur bhi hain
salib-e-shaKH se dast-e-KHizan utar mujhe
gharib-e-shahr nawa hi sahi magar yaro
bahut hai apni hi aawaz ka dayar mujhe
Ghazal
Duboe deta hai KHud-agahi ka bar mujhe
Anwar Siddiqui