اردو हिंदी
Duaon ka apni asar har taraf | Shaahi Shayari
duaon ka apni asar har taraf

Ghazal

Duaon ka apni asar har taraf

Khurshid Sahar

;

duaon ka apni asar har taraf
munawwar hain sham o sahar har taraf

KHushi us ke hamrah ruKHsat hui
udasi giri TuT kar har taraf

jidhar ji mein aaya udhar chal paDe
musafir ka hota hai ghar har taraf

yunhi apni KHushbu uDa chaar-su
hawa ki tarah tu bikhar har taraf

thake hausle be-sada raste
tabahi ka lamba safar har taraf

andhere 'sahar' ta-nashin ho gae
ki raushan hai mera hunar har taraf