dua kije wo bargad aur bhi phule-phale barson
ki jis ki chhanw mein hum aap se milte rahe barson
koi jugnu bhaTakta aa gaya to aa gaya warna
charagh-e-qabr ban kar hum akele hi jale barson
ye sang-e-mil bhi pahle koi bhaTka musafir tha
jise apni hi manzil DhunDne mein lag gae barson
ye sar jo kaT kar Tange gae hain in fasilon par
isi aatish-bayani se rahenge bolte barson
ajab si mausami fitrat hai apne dewtaon ki
nahin pahchante wo hum jinhen puja kiye barson
na tum hoge na hum honge na apni mahfilen 'panchhi'
KHala mein gunjte rah jaenge ye qahqahe barson
Ghazal
Dua kije wo bargad aur bhi phule-phale barson
Sardar Panchhi