donon mein kitna farq magar donon ka hasil tanhai
apnon mein duri lati hai wo shohrat ho ya ruswai
jiwan ke kore kaghaz par jina hoga tahriron mein
ujle pannon par syahi se karni hogi harf-arai
hum hain us ka hi aks magar hai bich mein jiwan ka darpan
jab TuTega jiwan-darpan tab zahir hogi sachchai
pahle to KHud se dur kiya phir saza sunai jine ki
ji chuke to ye farman mila ab phir se hogi sunwai
wo KHud mein mukammal hai to phir kyunkar wo KHud mein rah na saka
kyun bikhar gaya zarra zarra kyun sah na saka wo tanhai

Ghazal
Donon mein kitna farq magar donon ka hasil tanhai
Deepti Mishra