اردو हिंदी
Donon jahan se aa gaya kar ke idhar udhar ki sair | Shaahi Shayari
donon jahan se aa gaya kar ke idhar udhar ki sair

Ghazal

Donon jahan se aa gaya kar ke idhar udhar ki sair

Faizan Hashmi

;

donon jahan se aa gaya kar ke idhar udhar ki sair
puchho na ja raha hun main karne ko ab kidhar ki sair

miTTi ki KHub-surati miTTi mein mil ke dekhiye
chhoDiye is makin ko kijiye apne ghar ki sair

dekhi nahin thi chaak ne achchhi tarah se dekh li
waise bhi dil-fareb thi kuze pe kuza-gar ki sair

seb ke peD ke tale gend wo ghumti hui
puri kashish se khinch kar karne lagi hai sar ki sair

waise to kuchh nahin pata itna pata hai bagh hai
barson se kar raha hun main jis ke liye udhar ki sair

teri hi sair ke liye aata rahunga bar bar
tera tha sat din ka shauq meri hai umr bhar ki sair

pahli nazar mein kaenat utni khili ki jitni thi
phir jo nazar ne sair ki karti rahi KHabar ki sair