اردو हिंदी
Donon jahan de ke wo samjhe ye KHush raha | Shaahi Shayari
donon jahan de ke wo samjhe ye KHush raha

Ghazal

Donon jahan de ke wo samjhe ye KHush raha

Mirza Ghalib

;

donon jahan de ke wo samjhe ye KHush raha
yan aa paDi ye sharm ki takrar kya karen

thak thak ke har maqam pe do chaar rah gae
tera pata na paen to na-chaar kya karen

kya shama ke nahin hain hawa-KHwah bazm mein
ho gham hi jaan-gudaz to gham-KHwar kya karen