din ka libas-e-dard tha wo to pahan chuke
raat aai jaane kaun sa gham oDhna paDe
ab jald aa milo ki daraKHton ke sath sath
kitne janam guzar chuka hun khaDe khaDe
aksar isi KHayal ne mayus kar diya
shayad tamam umr yun hi kaTni paDe
pure hue hain phul se ek jism ke huzur
arman kuchh aise bhi jo labon tak na aa sake
lamhon ke tar khinchta rahta tha raat din
ek shaKHs le gaya meri sadiyan sameT ke
jine ka shauq le aDe taron se dur dur
mazbut hath maut ka dariya mein phenk de
hum ko azab-e-dahr se milti nahin najat
tum bhi bahisht-e-jism ko virana kar chale
Ghazal
Din ka libas-e-dard tha wo to pahan chuke
Kamil Akhtar