din chhoTa hai raat baDi hai
mohlat kam aur shart kaDi hai
us ka ishaara pa kar mar ja
jine ko ek umr paDi hai
band nahin sare darwaze
KHair se basti bahut baDi hai
KHush hain makin ab donon taraf ke
bich mein ek diwar khaDi hai
jag rahi hai sari basti
aur gali sunsan paDi hai
har pal chhoTi hoti duniya
pahle se ab bahut baDi hai
dil mein chubhan hai hath mein lekin
nazuk si phulon ki chhaDi hai
sahra kar diya jis ne dil ko
sawan ki ye wahi jhaDi hai
jama hue sab dukh ke mare
jannat ki buniyaad paDi hai
ek diya hai taq mein 'shahin'
aur sirhane raat khaDi hai
Ghazal
Din chhoTa hai raat baDi hai
Shaheen Gazipuri