dilon mein aag lagao nawa-kashi hi karo
nahin hai shaghl-e-junun kuchh to shairi hi karo
ye kya ki baiTh rahe ja ke KHalwat-e-gham mein
nahin hai kuchh to chalo chal ke mai-kashi hi karo
yahi hunar ka sila hai to naqidan-e-suKHan
kisi usul ke parde mein dushmani hi karo
sada-e-dil na suno arz-e-haal to sun lo
kahan ye farz hai tum par ki munsifi hi karo
yahi 'naim' bahut hai jo kaT lo ye raat
ye kuchh zarur nahin hai ki raushni hi karo
Ghazal
Dilon mein aag lagao nawa-kashi hi karo
Hasan Nayeem