اردو हिंदी
Dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun | Shaahi Shayari
dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun

Ghazal

Dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun

Alimullah

;

dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun
pitam ko apne pit sun gulhaar kar rakhun

ek naum sun jagaun agar murda dil ke tain
ta-hashr yaad-e-haq mane bedar kar rakhun

rahta hai dil har ek ka har ek kaam mein ek
apna KHayal surat-e-parkar kar rakhun

dista hai mujh ko yar ka ruKHsar-e-gul-izar
tis ki KHushi sun taba ko gulzar kar rakhun

manke ko man ke laun phirane ka jab KHayal
tasbih badan ki toD ke ek tar kar rakhun

pitam ke baj nahin hai mera iKHtiyar kuchh
mujh dil ko tis ke amr mein muKHtar kar rakhun

be-sar agar achhe to use sar karun ata
donon jahan mein sahab-e-asrar kar rakhun

andhe ke tain 'alim' laga ishq ka anjan
sab wasilan mein wasil-e-didar kar rakhun