dil tak ho chaak tegh jo sar par lagaiye
aashiq hun hath soch-samajh kar lagaiye
chehre pe nazuki se na aae kahin gazand
ruKHsar se na aap gul-e-tar lagaiye
saqi ke lutf-e-KHas ki tazim hai zarur
aankhon se jam-e-baada-e-ahmar lagaiye
hai ji mein bahr-e-nur-e-nigah us ki KHak-e-pa
surma ki ja agar ho mayassar lagaiye
ye dil mein hai ki chhoD ke 'raunaq' jahan ko
kuche mein us nigar ke bistar lagaiye

Ghazal
Dil tak ho chaak tegh jo sar par lagaiye
Raunaq Tonkvi