dil-soKHta ko apne jalaya ghazab kiya
nairang tum ne kya ye dikhaya ghazab kiya
zinda kiya hai hasrat-e-murda ko bewafa
tu baad-e-marg gor pe aaya ghazab kiya
ye dard-e-dard-mand tamasha dikhaega
aafat-rasida ko jo sataya ghazab kiya
hum KHanuman-KHarab bhaTakte kahan phiren
baiThe biThae us ne uThaya ghazab kiya
sab kah rahe the bulbul-e-kashmir ke harif
us gul ne apna yar banaya ghazab kiya
majzub-o-mast pir-e-mughan kyun na wo rahe
'saqi' ko jam-e-jazb pilaya ghazab kiya
Ghazal
Dil-soKHta ko apne jalaya ghazab kiya
Pandit Jawahar Nath Saqi