اردو हिंदी
Dil se apne KHud-ba-KHud kuchh puchhiye mere liye | Shaahi Shayari
dil se apne KHud-ba-KHud kuchh puchhiye mere liye

Ghazal

Dil se apne KHud-ba-KHud kuchh puchhiye mere liye

Indira Varma

;

dil se apne KHud-ba-KHud kuchh puchhiye mere liye
faisla ab kijiye ya sochiye mere liye

On your own, ask your heart something for me
Take a decision now or think of something, for me

fikr-e-duniya se na jaane aap kyun hain ashk-bar
in musalsal aansuon ko rokiye mere liye

why do the worries of the world fill you with tears
Staunch these ceaseless tears, for me

main to kab se muntazir hun aap ke ehsan ki
dard ka aahon se sauda kijiye mere liye

I have been waiting forever for your favour
Strike a deal between pain and sighs, for me

aap ka lahja shahad jaisa tarannum-KHez hai
KHamushi ab toDiye aur boliye mere liye

Your accent is sweet as honey and melodious too
Break your silence now and say aomething, for me

aap ko sab log kahte hain masiha ai sanam
zindagi mujh ko bhi de kar dekhiye mere liye

O my beloved, everyone calls you a messiah
Grant me life too and see, for me