dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho
KHwab dekho ki haqiqat se pashemani na ho
kya hua ahl-e-junun ko ki dua mangte hain
shahr mein shor na ho dasht mein virani na ho
DhunDte DhunDte sab thak gae lekin na mila
ek ufuq aisa ki jo dhund ka zindani na ho
gham ki daulat baDi mushkil se mila karti hai
saunp do hum ko agar tum se nigahbani na ho
nafraton ka wahi malbus pahan lo phir se
ain mumkin hai ye duniya tumhein pahchani na ho
Ghazal
Dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho
Shahryar