dil o nigah mein kuchh is tarah sama gai hai
teri nazar to mujhe aaina bana gai hai
hawa-e-taza ka jhonka idhar se kya guzra
gire paDe hue patton mein jaan aa gai hai
mere ghamon ka mudawa karega kya koi
shikast-shisha-e-dil ki kahin sada gai hai
ye dil ki zard paDa tha kai zamanon se
main tera nam liya aur bahaar aa gai hai
bhula diya hai use naz uThane walon ne
isi liye to use meri yaad aa gai hai
Ghazal
Dil o nigah mein kuchh is tarah sama gai hai
Khurshid Rabbani