اردو हिंदी
Dil o nigah mein ek raushni si lagti hai | Shaahi Shayari
dil o nigah mein ek raushni si lagti hai

Ghazal

Dil o nigah mein ek raushni si lagti hai

Masooda Hayat

;

dil o nigah mein ek raushni si lagti hai
tumhaari yaad se wabastagi si lagti hai

ye kya sitam hai mahakti hui bahaaron mein
har ek chehre pe pazhmurdagi si lagti hai

ye kis ke hath mein aaya hai daur-e-paimana
labon pe apne baDi tishnagi si lagti hai

hum apne ghar mein bhi hain ab musafiron ki tarah
har ek chiz yahan ajnabi si lagti hai

har ek sans pe pahra hai na-KHudaon ka
ye zindagi bhi koi zindagi si lagti hai

hazar shauq numayan the jis nazar se kabhi
wahi nigah baDi ajnabi si lagti hai

'hayat' kaun si ab rah iKHtiyar karen
har ek rah baDi ajnabi si lagti hai