dil-o-nazar mein na paida hui shakebai
kisi ke gham ne tabiat hazar bahlai
tamam husn-o-mohabbat tamam ranai
wo ek nigah jo paigham-e-zindagi lai
chhalak paDen na kahin ashk meri aankhon se
kisi ke dard-e-mohabbat ki ho na ruswai
gham-e-zamana ke mare na rah sake zinda
nigah-e-dost ne kya kya na ki masihai
na ruk sakenge rah-e-ishq mein junun ke qadam
ki baDh raha hai abhi zauq-e-abla-pai
wo jehd-e-jama-dari hai na fikr-e-baKHiya-gari
ajib haal mein hain aaj tere saudai
nazar paDa na kahin wo ghazal-ram-KHurda
junun-e-shauq ne ki lakh dasht-paimai
meri tarah to tamasha na ban saka koi
agarche ek jahan tha tera tamashai
qarib aa ke bhi ehsas-e-buad miT na saka
ki tere ho ke bhi hum hain tere tamannai
jo hirs-o-az ke bande hain un ko kya malum
waqar-e-bandagi-o-azmat-e-jabin-sai
har ek chiz jahan sim-o-zar mein tulti hai
mere KHulus ki kya ho wahan pazirai
ye lala-o-gul-o-nasrin ye anjum-o-mahtab
kahan nahin tere jalwon ki aalam-arai
mujhe wo ahd wo din-raat yaad aate hain
ki jab na thi tere gham se koi shanasai
shab-e-firaq ki be-tabiyon ko kya kahiye
kabhi kabhi to mere gham ko bhi hansi aai
na rah saka kisi aalam mein bhi tera 'muztar'
ki gham hua na gawara KHushi na ras aai
Ghazal
Dil-o-nazar mein na paida hui shakebai
Ram Krishn Muztar