dil ne paya jo mere muzhda teri pati ka
munh phira su-e-badan jaan-e-ba-lab aati ka
yun to ai yar-e-dil-afroz tu sab ka hai wale
dagh jaan-soz niraya hai meri chhati ka
dil dam-e-ah-e-sahar-KHez chala jata hai
mutriba chup hai tu kyun waqt hai parbhati ka
dil-e-afsurda ko hai soz-e-darun se kya rabt
kaam kya KHana-e-viran mein diye-baati ka
is jahan mein sifat-e-ishq se mausuf hain hum
na karo aib hamare hunar-e-zati ka
yar sun sun ke sab ahwal-e-KHarab-e-'hasrat'
bola kya kaam hai yan aise KHarabaati ka
Ghazal
Dil ne paya jo mere muzhda teri pati ka
Hasrat Azimabadi