اردو हिंदी
Dil mila dil ka muddaa na mila | Shaahi Shayari
dil mila dil ka muddaa na mila

Ghazal

Dil mila dil ka muddaa na mila

Jami Rudaulvi

;

dil mila dil ka muddaa na mila
ji liye jine ka maza na mila

banda-e-zar to har qadam pe mile
ek bhi banda-e-KHuda na mila

koi shikwa nahin mujhe un se
dil hi to hai mila mila na mila

bewafa ne bana diya ye haal
wo to kahiye ki ba-wafa na mila

kuchh mila ho to baiTh kar joDen
kya mila hum ko aur kya na mila

ba-KHuda kuchh bhi lutf jine mein
lazzat-e-dard ke siwa na mila

sai-e-nakaam ka sitam ye hai
nukta-chinon ko ek bahana mila

muzmahil ho gain salahiyaten
jab zamane se hausla na mila

ajnabi puchhte hain 'jami' ko
ham-safiron se aasra na mila