اردو हिंदी
Dil mein un ko basa ke dekh liya | Shaahi Shayari
dil mein un ko basa ke dekh liya

Ghazal

Dil mein un ko basa ke dekh liya

Jami Rudaulvi

;

dil mein un ko basa ke dekh liya
aag ghar mein laga ke dekh liya

zindagani wabaal-e-dosh hui
dil ki baaton mein aa ke dekh liya

ashk bhar lai hain meri aankhen
us ne jab muskura ke dekh liya

aur ab kis ka e'tibar karen
dil ko apna bana ke dekh liya

un ki aadat hai muskura dena
hum ne aansu baha ke dekh liya

hum ko jadu ka e'tibar na tha
un se nazren mila ke dekh liya

ghuncha-e-dil kabhi khila hi nahin
barha muskura ke dekh liya

iKHtisar-e-jawab ke qurban
muskura muskura ke dekh liya

kaam aati nahin wafa 'jami'
barha aazma ke dekh liya