dil mein tufan uThate hue jazbaat bhi hain
hum hain KHamosh ki kuchh apni riwayat bhi hain
mohtasib hi se nahin nala-ba-lab jam-o-subu
sang uThae hue KHud ahl-e-KHarabaat bhi hain
mastiyon mein kabhi mil jate hain insan ab bhi
jaise sahraon mein shadab maqamat bhi hain
dekhiye mujh se wo kab aa ke gale milta hai
the jo mere wahi ab ghair ke haalat bhi hain
ashk hi ashk nahin ghaur se dekhoge agar
in sulagti hui aankhon mein hikayat bhi hain
un ke daman pe lahu kis ko yaqin aaega
jin ke chehron pe taqaddus ki alamat bhi hain
kya kahin kaun si rahon mein hain pamal 'karam'
hum ki zinda hain magar kushta-haalat bhi hain

Ghazal
Dil mein tufan uThate hue jazbaat bhi hain
Karam Haidari