dil mein tere jo koi ghar kar gaya
saKHt muhim thi ki wo sar kar gaya
wahm-e-ghalat-kar ne dil KHush kiya
kis pe na jaane wo nazar kar gaya
ja hi bhiDa tujh saf-e-mizhgan se yar
dil to mera zor-e-jigar kar gaya
raat mila tha mujhe tanha raqib
yar KHuda ka hi main Dar kar gaya
faiz tere wasf-e-buna-gosh ka
apne suKHan ko to guhar kar gaya
dekh li saqi ki bhi dariya-dili
lab na hamare kabhu tar kar gaya
kyun ke karahun na shab o roz mein
dard mere pahlu mein ghar kar gaya
nafa ko pahuncha ye tujhe de ke dil
jaan ka apni mein zarar kar gaya
aur ghazal ab koi sauda tu kah
ye to yunhi thi main nazar kar gaya
Ghazal
Dil mein tere jo koi ghar kar gaya
Sauda Mohammad Rafi