dil mein KHayal-e-nargis-e-jaanana aa gaya
phulon se khelta hua diwana aa gaya
baadal ke uThte hi mai o paimana aa gaya
bijli ke sath sath pari-KHana aa gaya
maston ne is ada se kiya raqs-e-nau-bahaar
paimana kya ki wajd mein mai-KHana aa gaya
us chashm-e-mai-farosh ki tasir kya kahun
honTon tak aaj aap hi paimana aa gaya
malum kis ko qais ki diwangi ki shan
hangama sa bapa hai ki diwana aa gaya
'aKHtar' ghazab thi ahd-e-jawani ki dastan
aankhon ke aage ek pari-KHana aa gaya
Ghazal
Dil mein KHayal-e-nargis-e-jaanana aa gaya
Akhtar Shirani