dil mein jo tasawwur hai teri zulf-e-rasa ka
samjha hun ise main to amal radd-e-bala ka
duniya mein koi mujh sa gunahgar na hoga
main KHak ka putla nahin putla hun KHata ka
jannat ki hai ummid to dozaKH ka hai khaTka
dushwar hai maidan bahut bim-o-raja ka
huran-e-jinan ne hamein aankhon pe biThaya
dekhe to koi martaba tere shohda ka
saghar ki tamanna hai na shishe ki zarurat
mastana hun teri nigah-e-hosh-ruba ka
anwar-e-mohammad ke hain anwar-e-ilahi
didar mohammad ka hai didar KHuda ka
ek raaz hai ye bhi ki teri tegh ka pani
chashma hai shahidon ke liye aab-e-baqa ka
allah ke mahbub ki nazron mein hai eajaz
sine mein jo allah ka ghar tha use taka
be-ai marun tum pe ki marna hai muqaddar
kyun muft mein ehsan uThaun main qaza ka
marqad mein bhi ummat ko na bhule shah-e-wala
allah-ghani dhyan hai kitna ghoraba ka
rauze pe kya arz mera haal-e-pareshan
ehsan na bhulunga kabhi baad-e-saba ka
jis KHak pe aashiq ne kiye sajdon pe sajde
KHaka tha wahan aap ke naqsh-e-kaf-e-pa ka
arbab-e-karam phulte-phalte hain hamesha
milta hai samar un ko gharibon ki dua ka
'rasiKH' ki zaban par ho dam-e-marg ye misra
mahbub ki ummat mein hun banda hun KHuda ka

Ghazal
Dil mein jo tasawwur hai teri zulf-e-rasa ka
Mohammad Yusuf Rasikh