dil mein ek jazba-e-bedad-o-jafa hi hoga
wo KHuda-wand bhi hoga to KHuda hi hoga
gard si uDti nazar aati hai aandhi hogi
dur tak naqsh-e-qadam hain koi rahi hoga
hum se jo puchhna hai puchh lo warna kal tak
kis ko andaza-e-na-karda-gunahi hoga
kahin girti hui diwaren kahin jhukti chhaten
aap kahte hain to ye qasr-e-wafa hi hoga
phul se taraste hue log KHarabon mein kahan
dasht-e-wahshat mein koi aabla-pa hi hoga
jate jate mere darwaze ke paT khol gai
ye bhi 'aKHtar' koi andaz-e-saba hi hoga
Ghazal
Dil mein ek jazba-e-bedad-o-jafa hi hoga
Akhtar Hoshiyarpuri