dil mein hai ittifaq se dasht bhi ghar ke sath sath
is mein qayam bhi karen aap safar ke sath sath
dard ka dil ka sham ka bazm ka mai ka jam ka
rang badal badal gaya ek nazar ke sath sath
KHwab uDa diye gae peD gira diye gae
donon bhula diye gae ek KHabar ke sath sath
shaKH se is kitab tak KHak se le ke KHwab tak
jaega dil kahan talak us gul-e-tar ke sath sath
is ko ghazal samajh ke hi sarsari dekhiye sahi
ye mera haal-e-dil bhi hai arz-e-hunar ke sath sath
Ghazal
Dil mein hai ittifaq se dasht bhi ghar ke sath sath
Idris Babar