dil mein apne nahin koi juz-yar
laisa-fiddar-e-ghairahu dayyar
kufr o din se nahin kuchh aap ko bahs
sar-e-tasbih o gardan-e-zunnar
dagh-e-ashk aastin se uDte hain
muft jati hai hath se ye bahaar
hum wo aafat-e-talab hain hai jin ko
zaKHm-e-shamshir marham-e-zangar
yaad mein kis ki raat roya hun
gharq-e-KHun hai hanuz jeb-o-kanar
aah kya kije zulf o ruKH us ka
chit chaDha hi rahe hai lail o nahaar
naseha tark kije kis kis ka
jite-ji ko to sab kuchh hai darkar
ishq-bazi ko kya karega tu
go ki chhoDa main ek sharab o qimar
hum ne dekha hai dagh-e-dil 'qaem'
waqina rabbana azabannar
Ghazal
Dil mein apne nahin koi juz-yar
Qayem Chandpuri