dil mein ab aawaz kahan hai
TuT gaya to saz kahan hai
aankh mein aansu lab pe KHamoshi
dil ki baat ab raaz kahan hai
sarw-o-sanobar sab ko dekha
un ka sa andaz kahan hai
dil KHwabida ruh fasurda
wo josh-e-aghaz kahan hai
parda bhi jalwa ban jata
aankh tajalli-saz kahan hai
but-KHane ka azm hai 'mahir'
kabe ka dar baz kahan hai

Ghazal
Dil mein ab aawaz kahan hai
Mahirul Qadri