dil ko rah rah ke intizar sa hai
kya kisi samt kuchh ghubar sa hai
dekh kar kashmakash manazir ki
aankh uThana bhi nagawar sa hai
zulf-e-giti sanwarne wale
sadgi mein baDa singhaar sa hai
ek unhen dekho ek mujhe dekho
waqt kitna karishma-kar sa hai
jaane kyun har fasana-e-mazi
qissa-e-mausam-e-bahaar sa hai
aap 'mahshar' se mil ke dekhen to
aadmi wo bhi burdbar sa hai
Ghazal
Dil ko rah rah ke intizar sa hai
Mahshar Inayati